اردو हिंदी
Salamat rahen dil mein ghar karne wale | Shaahi Shayari
salamat rahen dil mein ghar karne wale

Ghazal

Salamat rahen dil mein ghar karne wale

Yagana Changezi

;

salamat rahen dil mein ghar karne wale
is ujDe makan mein basar karne wale

gale par chhuri kyun nahin pher dete
asiron ko be-baal-o-par karne wale

andhere ujale kahin to milenge
watan se hamein dar-ba-dar karne wale

gareban mein munh Dal kar KHud to dekhen
burai pe meri nazar karne wale

is aaina-KHane mein kya sar uThate
haqiqat par apni nazar karne wale

bahaar-e-do-roza se dil kya bahalta
KHabar kar chuke the KHabar karne wale

khaDe hain do-rahe pe dair o haram ke
teri justuju mein safar karne wale

sar-e-sham gul ho gai sham-e-baalin
salamat hain ab tak sahar karne wale

kuja sehn-e-alam kuja kunj-e-marqad
basar kar rahe hain basar karne wale

'yagana' wahi fateh-e-lakhknau hain
dil-e-sang-o-ahan mein ghar karne wale