salamat aae hain phir us ke kucha-o-dar se
na koi sang hi aaya na phul hi barse
main aagahi ke ajab mansabon pe faez hun
ki aap apna hi munkir hun apne andar se
na jaane kis ko ye eazaz-e-fan mila hoga
tamam shahr mein bikhre hue hain patthar se
ab is ke mauj-o-talatum mein Dubne se na Dar
guhar bhi tujh ko mile the usi samundar se
ye ehtimam-e-charaghan bhi kis kamal ka hai
diye jale hain to main bujh gaya hun andar se
ajab saman tha ki ab tak hain zaKHm zaKHm aankhen
main kor-chashm bhala aagahi ke manzar se
Ghazal
Salamat aae hain phir uske kucha-o-dar se
Razi Akhtar Shauq

