saki aaj pyala anand ka pila munj
wa yaqut adhran ki masti dila munj
mahal diste hain nur ke at safa sun
saki lya sajan kun mana kar bula munj
gagan se tabaq motiyan sun bhari hun
piya aarti tain piyo kun hila munj
tere neh bin jiwna munj na bhawe
masiha naman aap dam sun jila munj
adhar tere bin munj na bhawen aqiqan
badan tere bin nin hai neka tala munj
tere husn bin haur munj nain mein kad
na aawe ki hai is setin ibtila munj
nabi sadqe 'qubta' ali mehr sete
bandha dil kahin nin unan bin wala munj
Ghazal
Saki aaj pyala anand ka pila munj
Quli Qutub Shah

