اردو हिंदी
SaKHt nazuk mizaj-e-dilbar tha | Shaahi Shayari
saKHt nazuk mizaj-e-dilbar tha

Ghazal

SaKHt nazuk mizaj-e-dilbar tha

Jaleel Manikpuri

;

saKHt nazuk mizaj-e-dilbar tha
KHair guzri ki dil bhi patthar tha

muKHtasar haal-e-zindagi ye hai
lakh sauda tha aur ek sar tha

un ki ruKHsat ka din to yaad nahin
ye samajhiye ki roz-e-mahshar tha

KHak nibhti meri tere dil mein
ek shisha tha ek patthar tha

tum mere ghar jo aane wale the
khole aaghosh subh tak dar tha

abr-e-rahmat jo ho gaya mashhur
kisi mai-kash ka daman-e-tar tha

jab unhen shauq tha sanwarne ka
ek ek aaina sikandar tha

aansuon ki thi kya bisat magar
dekhte dekhte samundar tha

kaisi aazad zindagi hai 'jalil'
dar-e-dil par jab apna bistar tha