saKHt-jaani ka sahi afsana hai
shahid-e-tegh-e-zaban dandana hai
maqtal-e-alam mera virana hai
dida-e-bismil charagh-e-KHana hai
sham-e-raushan aariz-e-jaanana hai
KHal-e-mushkin shama ka parwana hai
dil mein aks-e-chehra-e-jaanana hai
aaine ka aaine mein KHana hai
kaun duniya mein rahe diwana hai
ek ujDa sa musafir KHana hai
teri mahfil kaba hai ai shama-ru
taer-e-qibla-numa parwana hai
aankhen malta hun tumhaari zulf se
panja-e-mizhgan ba-rang-e-shana hai
shama-ruon ki tajalli dekhiye
kirmak-e-shab-tab har parwana hai
aab-e-KHanjar kya sharab-e-nab thi
raqs-e-bismil laghzish-e-mastana hai
KHalq-e-alam ko pahunchta hai gazand
nafs-e-ammara sag-e-diwana hai
baada-noshan-e-azal hain ser-chashm
jis taraf dekhen udhar mai-KHana hai
abr aata hai to bikti hai sharab
naqd-e-rahmat hasil-e-mai-KHana hai
ek tere nam ka karta hun zikr
mujh ko wird-e-subha-e-yak-dana hai
khate hain angur pite hain sharab
bas yahi maston ka aab-o-dana hai
kis taraf karte ho sajde zahido
kaba ek ujDa hua but-KHana hai
chashm-e-musa ke hon parde kan mein
lan-tarani ka bayan afsana hai
ThanDe ThanDe sote hain zer-e-zamin
gor apne waste tah-KHana hai
kya bane sauda tera ai KHud-farosh
mol jo hum ne kaha baiana hai
dekhte hain but meri betabiyan
sar bahakna sajda-e-shukrana hai
kya tera aaina-e-ru saf hai
naqd-e-jaan leta yahan jurmana hai
garm nale sard hain ai ham-safir
zahiran kunj-e-qafas KHas-KHana hai
ki mai-e-muft aaj qazi ne halal
fi-sabilillah har mai-KHana hai
iKHtilat apne anasir mein nahin
jo hai mere jism mein begana hai
kya samundar ko dikhaen garmiyan
dozaKH apna ek aatiash-KHana hai
ho gae misl-e-sulaiman ahl-e-ishq
ai pari kya himmat-e-mardana hai
dil hai aaina to askandar hun main
husn ki daulat mera nazrana hai
arsh tak gardun se dekha ai sanam
sat zine ka ye baala-KHana hai
khel jate hain hazaron jaan par
ishq-bazi bazi-e-tiflana hai
jaan deta hun magar aati nahin
maut ko bhi naz-e-mashuqana hai
pate hain naqd-e-zar-e-gul be-hisab
bagh-e-alam us ka daulat-KHana hai
aaj hai mahw-e-shana wo shama-ru
har par-e-mahi par-e-parwana hai
dil kahan ye nafs-e-ammara kahan
aaina pesh sag-e-diwana hai
iffat-e-mashshata kis se ho bayan
panja-e-maryam tumhaara shana hai
mai-kade ke kaam dil se lijiye
KHum ka KHum paimana ka paimana hai
lucknow ka mujh ko sauda hai 'munir'
dil husain-abaad par diwana hai
Ghazal
SaKHt-jaani ka sahi afsana hai
Muneer Shikohabadi

