'saKHi' se chhuT kar jaenge ghar aap
aji kuchh KHair bhi hai hain kidhar aap
wo aashiq hain ki marne par hamare
karenge yaad hum ko umr bhar aap
pari samjhen pari, huren kahen hur
hue kis nur ke paida bashar aap
na aashiq hain zamane mein na mashuq
idhar hum rah gae hain aur udhar aap
dikhaenge hum apni laghari bhi
abhi to dekhiye apni kamar aap
mere nale agar sunne ka hai shauq
to sahab hath rakhiye kan par aap
rasai us ke zulfon tak na hogi
'saKHi' be-faeda maren na sar aap
Ghazal
SaKHi se chhuT kar jaenge ghar aap
Sakhi Lakhnvi