saje-sajae hue sabz manzaron se na jaen
KHuda kare ki ye dariya kabhi gharon se na jaen
ba-nam-e-ishq-o-hawas kuchh na kuchh rahe raushan
kuchh aisa ho ki ye saude kabhi saron se na jaen
faza-e-dasht-e-tarab-nak ko dawam mile
gulab KHushbu se aur titliyan paron se na jaen
zaruraton ko ziyaada na kar KHuda-e-karim
nikal ke panw bahut dur chadaron se na jaen
huruf-o-nutq ki har anjuman mein raunaq ho
KHayal ruTh ke hargiz suKHan-waron se na jaen
isi tarah saf-e-sayyargan rahe qaem
nujum-o-mah alag apne mahwaron se na jaen
amir-e-asr se fariyaad karna chahte hain
saron ko phoDne ye log pattharon se na jaen
Ghazal
Saje-sajae hue sabz manzaron se na jaen
Asad Badayuni