اردو हिंदी
Sajde jabin-e-shauq ke ab raegan nahin | Shaahi Shayari
sajde jabin-e-shauq ke ab raegan nahin

Ghazal

Sajde jabin-e-shauq ke ab raegan nahin

Makhmoor Jalandhari

;

sajde jabin-e-shauq ke ab raegan nahin
tu be-hijab anjuman-ara kahan nahin

main mir-e-karwan hun pas-e-karwan nahin
hathon mein mere daman-e-manzil kahan nahin

maujudgi-e-jannat-o-dozaKH se hai ayan
rahmat hai ek bahr magar be-karan nahin

chahe hijab mein raho to chahe be-hijab
hum tum hi to hain aur koi darmiyan nahin

barq-e-jamal-e-dost na ho is pe shola zan
tera bhi ghar hai sirf mera aashiyan nahin

dilchaspiyan bahut si hain is iKHtisar mein
kuchh gham nahin shabab agar jawedan nahin

sakit falak ko muft mein zalim bana diya
gardish mein hai zamin faqat aasman nahin

nakaam-tar hain meri shikasta-nasibiyan
'maKHmur' sirf zist hi na-kaamran nahin