اردو हिंदी
Sajda-e-yaad mein sar apna jhukaya hua hai | Shaahi Shayari
sajda-e-yaad mein sar apna jhukaya hua hai

Ghazal

Sajda-e-yaad mein sar apna jhukaya hua hai

Mubashshir Saeed

;

sajda-e-yaad mein sar apna jhukaya hua hai
hum ne ushshaq ke rutbe ko baDhaya hua hai

tohmaten hon ya ki patthar hon muqaddar us ka
ek diwana tere shahr mein aaya hua hai

mera maqsad tha faqat KHak uDana sahab
is liye dasht ko ghar-bar banaya hua hai

shaukat-e-majlis-e-hijran ko baDhana tha so yar
main ne palkon pe tera hijr sajaya hua hai

ek pari-zad hai dhaDkan ke ilaqe mein muqim
jis ne mahaul ko pur-wajd banaya hua hai

panw mein Dal ke tujh nam ke ghungru hum ne
apne andar hi miyan raqs rachaya hua hai

yar ki sohbat-e-pur-faiz ki barkat ne 'said'
is zamane mein mera kaam chalaya hua hai