sajda aur un ke aastane ka
hausla dekhiye zamane ka
aazmaenge dhaar KHanjar ki
ye bahana hai KHun bahane ka
dil-e-sada ki sadgi dekho
e'tibar aur phir zamane ka
kis maze se qafas mein ahl-e-qafas
zikr sunte hain aashiyane ka
sath chalna hai jab zamane ke
shikwa kyun kijiye zamane ka
wo zamana abhi nahin aaya
KHwab dekha tha jis zamane ka
tum KHud ahl-e-nazar ho ai 'sarshaar'
rang dekha karo zamane ka
Ghazal
Sajda aur un ke aastane ka
Jaimini Sarshar