اردو हिंदी
Sajan Tuk naz sun mujh pas aa aahista aahista | Shaahi Shayari
sajan Tuk naz sun mujh pas aa aahista aahista

Ghazal

Sajan Tuk naz sun mujh pas aa aahista aahista

Wali Mohammad Wali

;

sajan Tuk naz sun mujh pas aa aahista aahista
chhupi baaten apas dil ki suna aahista aahista

gharaz goyan ki baatan kun na la KHatir manin hargiz
sajan is baat kun KHatir mein la aahista aahista

har ek ki baat sunne par tawajjoh mat kar ai zalim
raqiban us sin howenge juda aahista aahista

mabaada mohtasib badmast sun kar tan mein aawe
tambura aah ka ai dil baja aahista aahista

'wali' hargiz apas ke dil kun sine mein na rakh gham-gin
ki bar lawega matlab kun KHuda aahista aahista