اردو हिंदी
Sajal ki shor zaminon mein aashiyana kare | Shaahi Shayari
sajal ki shor zaminon mein aashiyana kare

Ghazal

Sajal ki shor zaminon mein aashiyana kare

Iftikhar Arif

;

sajal ki shor zaminon mein aashiyana kare
na jaane ab ke musafir kahan Thikana kare

bas ek bar use paDh sakun ghazal ki tarah
phir us ke baad to jo gardish-e-zamana kare

hawaen wo hain ki har zulf pechdar hui
kise dimagh ki ab aarzu-e-shana kare

abhi to raat ke sab nigah-dar jagte hain
abhi se kaun charaghon ki lau nishana kare

suluk mein bhi wahi tazkire wahi tashhir
kabhi to koi ek ehsan ghaebana kare

main sab ko bhul gaya zaKHm-e-mundamil ki misal
magar wo shaKHs ki har baat jarehana kare