اردو हिंदी
Saja ke zehn mein kitne hi KHwab soe the | Shaahi Shayari
saja ke zehn mein kitne hi KHwab soe the

Ghazal

Saja ke zehn mein kitne hi KHwab soe the

Ghazanfar

;

saja ke zehn mein kitne hi KHwab soe the
khuli jo aankh to KHud se lipaT ke roe the

chahaar samt bas ek be-karan samundar hai
bataen kya ki safine kahan Duboe the

tahon mein ret ubalti hai kya pata tha hamein
zamin samajh ke zaminon mein bij boe the

siyah raat mein bachche ki tarah chaunk paDe
tamam din jo ujalon se lag ke soe the

ajib baat hamara hi KHun hua pani
hamin ne aag mein apne badan bhigoe the

hamare hath se wo bhi nikal gaya aaKHir
ki jis KHayal mein hum muddaton se khoe the