sairab aab-e-ju se qadah aur qadah se hum
sar-KHush gulon ki bu se qadah aur qadah se hum
mukhDe pe hai gulal jo us mast-e-naz ke
rangin hai aks-e-ru se qadah aur qadah se hum
pir-e-mughan karam hai jo sairab ho sake
tere nam-e-wazu se qadah aur qadah se hum
bazm-e-sharab raqs ki majlis se kam nahin
nache hai parmalu se qadah aur qadah se hum
halqe nahin ye zulf mein saqi ki balki hai
wabasta mu-ba-mu se qadah aur qadah se hum
hurmat likhi sharab ki yan tak ki khinch raha
zahid ki guftugu se qadah aur qadah se hum
shisha jo phuT jae to phuTe wale na ho
ya-rab juda subu se qadah aur qadah se hum
wo tafraqa paDa ki bahut dur rah gaya
dast-e-piyala-ju se qadah aur qadah se hum
ai 'mushafi' hamein to gawara nahin ye nish
nosh us ke lab se chuse qadah aur qadah se hum
Ghazal
Sairab aab-e-ju se qadah aur qadah se hum
Mushafi Ghulam Hamdani