sair us sabza-e-ariz ki hai dushwar bahut
ai dil-e-abla-pa rah mein hain KHar bahut
lo na lo dil mujhe bhati nahin takrar bahut
muft bikta hai mera mal KHaridar bahut
KHush raho yar agar hum se ho bezar bahut
dil agar apna salamat hai to dildar bahut
gham nahin go hum akele hain aur aghyar bahut
haq agar apni taraf hai to taraf-dar bahut
panw phailao na ab to mere pas aane mein
eDiyan tum ne ragaDwai hain ai yar bahut
kya karunga main bhala bagh ijare le kar
aashiyanon ko hain ek musht-e-KHas-o-KHar bahut
tan rindon pe na kar shaiKH KHuda-lagti bol
us ke altaf bahut hain ki gunahgar bahut
kya zamane mein mohabbat ka maraz phaila hai
achchhe do-chaar nazar aate hain bimar bahut
lambe lambe tere baalon ka mujhe sauda hai
tul khinga meri jaan ye aazar bahut
talKHi-e-marg ka hargiz mujhe andesha nahin
baiThi munh par hai mere yar ki talwar bahut
bas tumhaari yahi KHu saKHt buri lagti hai
thoDi taqsir pe ho jate ho bezar bahut
ghar mein us but ke rasai na hui par na hui
'bahr' ne putli bhi gaDi pas-e-diwar bahut
Ghazal
Sair us sabza-e-ariz ki hai dushwar bahut
Imdad Ali Bahr