sair ke qabil hai dil-sad-para us naKHchir ka 
jis ke har TukDe mein ho paiwast paikan tir ka 
sab khula bagh-e-jahan illa ye hairan-o-KHafa 
jis ko dil samjhe the hum so ghuncha tha taswir ka 
bu-e-KHun se ji ruka jata hai ai baad-e-bahaar 
ho gaya hai chaak dil shayad kaso dil-gir ka 
kyunke naqqash-e-azal ne naqsh abru ka kiya 
kaam hai ek tere munh par khinchna shamshir ka 
rahguzar sail-e-hawadis ka hai be-buniyaad-e-dahr 
is KHarabe mein na karna qasd tum tamir ka 
bas tabib uTh ja meri baalin se mat de dard-e-sar 
kaam yan aaKHir hua ab faeda tadbir ka 
nala-kash hain ahd-e-piri mein bhi tere dar pe hum 
qadd-e-KHam-gashta hamara halqa hai zanjir ka 
jo tere kuche mein aaya phir wahin gaDa use 
tishna-e-KHun mein to hun us KHak-e-daman-gir ka 
KHun se mere hui yak-dam KHushi tum ko to lek 
muft mein jata raha ji ek be-taqsir ka 
laKHt-e-dil se jun chhiDi phulon ki gundhi hai wale 
faeda kuchh ai jigar is aah-e-be-tasir ka 
gor-e-majanun se na jawenge kahin hum be-nawa 
aib hai hum mein jo chhoDen Dher apne pir ka 
kis tarah se maniye yaro ki ye aashiq nahin 
rang uDa jata hai Tak chehra to dekho 'mir' ka
        Ghazal
Sair ke qabil hai dil-sad-para us naKHchir ka
Mir Taqi Mir

