sair-e-shab-e-la-makan aur main
ek hue raftagan aur main
sans KHalaon ne li sina bhar
phail gaya aasman aur main
sar mein sulagti hawa tishna-tar
dam se ulajhta dhuan aur main
ism-e-abad ki talash-e-tawil
husn-e-shuru-e-guman aur main
meri farawaniyan nau-ba-nau
ab hai nashat-e-ziyan aur main
donon taraf jangalon ka sukut
shor bahut darmiyan aur main
KHak o KHala be-charagh aur shab
naqsh o nawa be-nishan aur main
phir mere dil mein koi taza khoT
phir koi saKHt imtihan aur main
kab se bhaTakte hain baham alag
lamha-e-kam-mehrban aur main
dur chhaton par barasta tha qahr
chup rahe kyun tum yahan aur main
ghair matalib kahin aur DhunD
sahl bahut sharh-e-jaan aur main
Ghazal
Sair-e-shab-e-la-makan aur main
Rajinder Manchanda Bani