sair-e-chaman hai aur wo gul-ru kanar mein
main be-piye bhi mast hun ab ki bahaar mein
kab se hun kya bataun talash-e-bahaar mein
ek phul bhi na tha chaman-e-rozgar mein
chaalen nai nai si hain raftar-e-yar mein
paD jaega KHalal rawish-e-rozgar mein
dil aur jaan donon bhi hain kis shumar mein
aap iKHtiyar mein hain to sab iKHtiyar mein
kyun na-umid aap ka ummid-war ho
sab kuchh hai kya nahin nigah-e-sharmsar mein
mujh ko jab apni baat ka rahta nahin KHayal
kyun bad-zani na aae dil-e-raazdar mein
is se ziyaada lutf ka talib nahin hun main
ummid ban ke rah dil-e-ummid-war mein
ya maut aaegi mujhe ya nind aaegi
aur ek shab guzar to dun intizar mein
ai dard-e-ishq baat to jab hai ki mere dost
marne ke baad chain na paun mazar mein
nala KHilaf-e-wada kiya hae kya kiya
sun le jo wo to farq paDa e'tibar mein
wo kyun bulaen bazm mein mujh bad-nasib ko
ghul-mil ke baiThna nahin aata hai chaar mein
main ne bhi tauba toD di apni to kya hua
duniya ke log kya nahin karte bahaar mein
mera waqar aap ka aaram bhi gaya
aaKHir ye kya bala hai dil-e-be-qarar mein
ek taza wardat hai har ek dam ke sath
mere irade aa nahin sakte shumar mein
sau mehrbaniyon ke ewaz muskura diya
sarkar ne kamal kiya iKHtisar mein
hoga jab un ka qahr qayamat hi aaegi
zinde rahenge ghar mein na murde mazar mein
kahte hain log maut se bad-tar hai intizar
meri tamam-umr kaTi intizar mein
niklega ab ke jo bhi tera ai mughan-nawaz
phulon mein rakh ke denge tujhe hum bahaar mein
naseh bhi chaaragar bhi ye do do azab kyun
munkir-nakir aate hain wo bhi mazar mein
khai hui qasam to KHuda ke liye na kha
apni taraf se farq na Dal e'tibar mein
zahid ki tarah aur hain masjid mein saikDon
ye kis shumar mein hai wahan kis qatar mein
ishq aur aap wah safi' wah-wah-wa
gham aur hae zindagi-e-mustaar mein

Ghazal
Sair-e-chaman hai aur wo gul-ru kanar mein
Safi Aurangabadi