sahraon mein bhi koi hamraaz gulon ka hai
gulshan mein koi rah kar KHushbu ko tarasta hai
ek din to khulega ye darwaza-e-dil tera
ab dekhna hai kab tak ehsas bhaTakta hai
nindon ke makan mein hai jis din se tera chehra
khulti hain ye aankhen to ek KHauf sa lagta hai
ek roz yahi kirchen binaiyan baKHshengi
ye shisha-e-dil tum ne kya soch ke toDa hai
kaise main yaqin kar lun iKHlas nahin baqi
apnon ki adawat ka ye hi to wasila hai
jo hausla tufan ko ek khel samajhta tha
ab aap ki yaadon ke dariya mein wo Duba hai
saqi ki tasalli bhi wajid hai nasha jaise
iKHlas ka paikar hai aKHlaq ka putla hai
Ghazal
Sahraon mein bhi koi hamraaz gulon ka hai
Wajid Sahri