اردو हिंदी
Sahra se naddi ke safar mein rawan thi KHak | Shaahi Shayari
sahra se naddi ke safar mein rawan thi KHak

Ghazal

Sahra se naddi ke safar mein rawan thi KHak

Mahender Kumar Sani

;

sahra se naddi ke safar mein rawan thi KHak
yani apni asl mein ek imkan thi KHak

aisi taza-kari is bosida-waraq par
meri shakl mein aane se pahle kahan thi KHak

hawa uDai us ne ek ek aalam ki
ye us daur ki baat hai jab ki jawan thi KHak

ek KHushbu ki zad mein tha us ka har raqs
aur isi KHushbu ke liye makan thi KHak

us mein jitni girhen thin sab aab ki thin
warna apne rang mein to aasan thi KHak