اردو हिंदी
Sahra se bhi viran mera ghar hai ki nahin hai | Shaahi Shayari
sahra se bhi viran mera ghar hai ki nahin hai

Ghazal

Sahra se bhi viran mera ghar hai ki nahin hai

Asif Jamal

;

sahra se bhi viran mera ghar hai ki nahin hai
is tarah se jina bhi hunar hai ki nahin hai

ye duniya basai hai jo ek be-KHabari ki
is mein kahin yaadon ka guzar hai ki nahin hai

hai jism ke zindan mein wahi ruh ki fariyaad
is karb-e-musalsal se mafar hai ki nahin hai

diwar ke sae ne tumhein rok liya tha
ab himmat-e-ima-e-safar hai ki nahin hai

jis ke liye be-KHwab raha karti hain aankhen
wo aankh bhi aashufta magar hai ki nahin hai

hum shola-e-jaan tez hawaon se bacha kar
zinda hain magar us ko KHabar hai ki nahin hai

ab kaun raha hai jo hamein itni KHabar de
jo haal idhar hai wo udhar hai ki nahin hai