sahra mein zarra qatra samundar mein ja mila
main KHak mein mila to mila tujh ko kya mila
tamir dozaKHon mein ho shaddad ki bahisht
jannat ko chhoD aae to gham dusra mila
ye to nahin ki KHwab mein duniya badal gai
bedar jab hue to tasawwur naya mila
kya kam hain ab bhi shahr mein be-maghz-o-be-libas
sauda tha ek sar mein wo tan se juda mila
be-chaargi-o-KHwari-o-darmandagi ke bich
mahtab hans raha tha gale hum se aa mila
ek jast mein to koi na pahuncha kamal tak
ek umr sar khapa ke hi jo kuchh mila mila
Ghazal
Sahra mein zarra qatra samundar mein ja mila
Saeed-ul-Zafar Chughtai