sahra mein koi saya-e-diwar to dekho
ai ham-safaro dhup ke us par to dekho
jalta hun andheron mein ki chamke koi chehra
mausam hain adawat ke magar pyar to dekho
daftar ki thakan oDh ke tum jis se mile ho
us shaKHs ke taza lab-o-ruKHsar to dekho
kyun mang rahe ho kisi barish ki duaen
tum apne shikasta dar-o-diwar to dekho
kal sham wo tanha tha samundar ke kinare
kya soch rahe ho koi aKHbar to dekho
aankhen hain ki zaKHmi hain badan hain ki shikasta
aashob-e-safar hun meri raftar to dekho
Ghazal
Sahra mein koi saya-e-diwar to dekho
Jazib Quraishi