sahra mein kaDi dhup ka Dar hote hue bhi
sae se gurezan hun shajar hote hue bhi
man bap ka manzur-e-nazar hote hue bhi
mahrum-e-wirasat hun pisar hote hue bhi
ye jabr-e-mashiyat hai ki tanhai ki aadat
main qaid hun diwar mein dar hote hue bhi
hum aise parindon ki hai ek peD se nisbat
uD kar kahin jate nahin par hote hue bhi
har chiz luTa dena faqiron ka hai shewa
kam-zarf hain kuchh sahab-e-zar hote hue bhi
is des ka basi hun ki jis des ka haari
mayus hai shaKHon pe samar hote hue bhi
suraj se kare dosti ek kor basar kya
jalwe ki nahin tab-e-nazar hote hue bhi
kuchh haar gae jabr ke ba-wasf bhi zalim
kuchh jit gae nezon pe sar hote hue bhi
tujh jaisa adad apne tain kuchh bhi nahin hai
main teri zarurat hun sifar hote hue bhi
hansna meri aankhon ka gawara nahin us ko
aur dekh nahin sakta hai tar hote hue bhi
phir dasht-nawardi ne dikhai ye karamat
main shahr mein tha shahr-badar hote hue bhi
is bar the kuchh dost mere madd-e-muqabil
sine pe sahe war sipar hote hue bhi
aise bhi zabun-haal kai log hain 'kashir'
be-ghar hain isi shahr mein ghar hote hue bhi

Ghazal
Sahra mein kaDi dhup ka Dar hote hue bhi
Shozeb Kashir