sahra mein ghaTa ka muntazir hun
phir us ki wafa ka muntazir hun
ek bar na jis ne muD ke dekha
us jaan-e-saba ka muntazir hun
baiTha hun durun-e-KHana-e-gham
sailab-e-bala ka muntazir hun
jaan-e-ab-e-baqa khoj mein hai
main mauj-e-fana ka muntazir hun
khil jaunga apne aap se main
tahsin-e-saba ka muntazir hun
is daur mein KHwahish-e-tarab hai
madfan mein hawa ka muntazir hun
mazi ki saza bhugat raha hun
farda ki saza ka muntazir hun
shayad ki wahan mafar ho gham se
tasKHir-e-KHala ka muntazir hun
hathon mein hai mere daman-e-shab
suraj ki sada ka muntazir hun
barson se khaDa hun hath uThae
tasir-e-dua ka muntazir hun
mera to KHuda kabhi nahin tha
main kis ke KHuda ka muntazir hun
kahte hain jise 'nazar' musafir
us aabla-pa ka muntazir hun
Ghazal
Sahra mein ghaTa ka muntazir hun
Zuhoor Nazar