sahra koi basti koi dariya hai ki tum ho
sab kuchh meri nazron ka tamasha hai ki tum ho
lauT aae hain sahra se sabhi lauTne wale
is bar mere shahar mein achchha hai ki tum ho
tum ho ki mere lab pe dua rahti hai koi
aaankhon ne koi KHwab sa dekha hai ki tum ho
jab bhi koi deta hai dar-e-KHwab pe dastak
main sochne lagta hun ki duniya hai ki tum ho
ye ishq ka jalta hua sahra hai ki main hun
ye husn ka bahta hua dariya hai ki tum ho
Ghazal
Sahra koi basti koi dariya hai ki tum ho
Sarfraz Khalid