sahra ke sangin safar mein aab-rasani kam na paDe
sari aankhen bhar kar rakhna dekho pani kam na paDe
zehn-e-musalsal qisse sochen honTh musalsal zikr karen
subh talak zinda rahna hai kahin kahani kam na paDe
ishq ne saunpa hai mujh ko ek sahra ki tamir ka kaam
aur hidayat ki hai zarra bhar virani kam na paDe
meri shah-rag kaTi us ne aur kaha shoKHi ke sath
tu sachcha aashiq hai to phir dekh rawani kam na paDe
thoDa thoDa marta bhi rahta hun main jine ke sath
taki waqt-e-zarurat marne ki aasani kam na paDe
sajda karne ko hota hun ek bahut hi baDe but ka
aur phir sochta hun ye chhoTi si peshani kam na paDe
hamein chhupane ko duniya ne khol diye kapDon ke than
chaak-garebani ye tera zor-e-uryani kam na paDe
tum 'farhat-ehsas' bas apne aap ko marne mat dena
taki daftar-e-duniya mein daKHl-e-insani kam na paDe
Ghazal
Sahra ke sangin safar mein aab-rasani kam na paDe
Farhat Ehsas