اردو हिंदी
Sahra ka safar tha to shajar kyun nahin aaya | Shaahi Shayari
sahra ka safar tha to shajar kyun nahin aaya

Ghazal

Sahra ka safar tha to shajar kyun nahin aaya

zafar iqbal zafar

;

sahra ka safar tha to shajar kyun nahin aaya
mangi thin duaen to asar kyun nahin aaya

dekha tha jise hum ne kabhi shauq-e-talab mein
mahtab sa wo chehra nazar kyun nahin aaya

hum log to marte rahe qiston mein hamesha
phir bhi hamein jine ka hunar kyun nahin aaya

lagta hai muqaddar mein mere saya nahin hai
muddat se safar mein hun to ghar kyun nahin aaya

jis ke liye baiThe the bichhae hue aankhen
mahfil mein abhi tak wo bashar kyun nahin aaya

mausam to har ek shaKH ke khulne ka 'zafar' tha
phir un pe koi barg-o-samar kyun nahin aaya