sahra-e-la-hudud mein tishna-labi ki KHair
mahaul-e-ashk-bar mein lab ki hansi ki KHair
laffaz sare ban gae shah-e-suKHan yahan
sadiq suKHan-waron ki suKHan-parwari ki KHair
mashriq mein hind-o-chin ke bazar yun baDhe
jah-o-jalal-e-maghribo-bartanawi ki KHair
hai auraton ki dhum zamin se falak talak
sai-e-baqa-e-shaukat-e-mardangi ki KHair
arzan hai musht-e-KHak se insan ki hayat
tahzib-e-qatl-o-KHun mein ab zindagi ki KHair
har samt qatl-e-am hai mazhab ke nam par
sari aqidaton ki KHuda-parwari ki KHair
jamhuriyat ki lash pe taqat hai KHanda-zan
is barahna nizam mein har aadmi ki KHair
sara watan samajh chuka dair-o-haram ka sach
bad-kar rahbaran ki bazigari ki KHair
urdu ghazal ke nam pe chalte hain chuTkule
ghaalib ke faiz 'mir' ki us sahiri ki KHair
maghrib se aa gai yahan tahzib-e-barahna
mashriq teri riwayati pakizgi ki KHair
andhe parakh rahe yahan mear-e-raushni
didawar-e-hunar teri dida-wari ki KHair
Ghazal
Sahra-e-la-hudud mein tishna-labi ki KHair
Ajay Sahaab