sahra-e-KHayal ka diya hun
virana-e-shab mein jal raha hun
saghar ki tarah se chur ho kar
mahfil mein bikhar bikhar gaya hun
apne hi lahu ki raushni mein
nairang-e-jahan ko dekhta hun
wo chand hun gardishon mein aa kar
KHud apni nazar se kaT gaya hun
har ahd hai mere dam se rangin
main naghma-e-saz-e-irtiqa hun
aaina-sifat nazar se teri
aks-e-dar-o-baam ban gaya hun
ehsas ki talKHiyon mein Dhal kar
main dard ka chand ban gaya hun
sun lo mujhe mai-kada-parasto!
bhigi hui raat ki sada hun
gulzar mein rah ke bhi 'raza' main
KHushbu ke liye taras gaya hun
Ghazal
Sahra-e-KHayal ka diya hun
Raza Hamdani