sahn-e-ehsas mein ek naqsh nihan tha pahle
tu nahin tha tere hone ka guman tha pahle
tah-ba-tah chaar su KHush-rang sada raushan thi
mujh se pahle bhi koi jaise yahan tha pahle
wo bhi sahra ki sadaon mein giraftar raha
aur mujh mein bhi koi reg-e-rawan tha pahle
waqt ne kar diya patthar ki lahad mein tabdil
apna chhoTa sa jo miTTi ka makan tha pahle
ab to aaina-e-ehsas hai be-aks-e-jamal
mujh se chhup kar bhi koi mujh pe ayan tha pahle
wo nahin tha to na tha us ki zarurat kya thi
apne hone ka bhi ehsas kahan tha pahle
roz-o-shab sahte rahe TuTte lamhon ka itab
koi KHanjar sa qarib-e-rag-e-jaan tha pahle
aap ki ham-safari ne safar aasan kiya
warna har gam yahan koh-e-giran tha pahle
KHush-bayani ne kisi ki mujhe KHush-rang kiya
apna kuchh aur hi andaz-e-bayan tha pahle
un se milte hi har ek gham se mili 'naz' najat
zindagi ka ye hasin chehra kahan tha pahle
Ghazal
Sahn-e-ehsas mein ek naqsh nihan tha pahle
Naz Quadri