sahma sahma har ek chehra manzar manzar KHun mein tar
shahr se jangal hi achchha hai chal chiDiya tu apne ghar
tum to KHat mein likh deti ho ghar mein ji ghabraata hai
tum kya jaano kya hota hai haal hamara sarhad par
be-mausam hi chha jate hain baadal teri yaadon ke
be-mausam hi ho jati hai barish dil ki dharti par
aa bhi ja ab aane wale kuchh un ko bhi chain paDe
kab se tera rasta dekhen chhat aangan diwar-o-dar
jis ki baaten amman abbu aksar karte rahte hain
sarhad par na jaane kaisa wo hoga purkhon ka ghar
Ghazal
Sahma sahma har ek chehra manzar manzar KHun mein tar
Jatinder Parwaaz