sahe gham pae raftagan kaise kaise
mere kho gae karwan kaise kaise
wo chitwan wo abru wo qad yaad sab hai
sunaun main guzre bayan kaise kaise
mere dagh-e-sozan ka mazmun na socho
jale kah ke aatish-zaban kaise kaise
raha ishq se nam majnun ka warna
tah-e-KHak hain be-nishan kaise kaise
shab-e-wasl mein mah ko uryan karenge
ayan honge raaz-e-nihan kaise kaise
kamar yar ki na-tawani mein DhunDi
tawahhum hue darmiyan kaise kaise
kaleje mein 'aKHtar' phaphole paDe hain
mere uTh gae qadr-dan kaise kaise

Ghazal
Sahe gham pae raftagan kaise kaise
Wajid Ali Shah Akhtar