sahba-e-nazar ke is chhalkane ko kya kahiye
us shoKH ki aankhon ke paimane ko kya kahiye
yun barq ne phunka hai sab KHak hue sapne
barbaad nasheman ke afsane ko kya kahiye
de kar gham-e-dil ab wo bimar-e-mohabbat ko
samjhate hain un ke is samjhane ko kya kahiye
ye soz-e-mohabbat hai jab shama hui raushan
jal jata hai chupke se parwane ko kya kahiye
baiTha hai abhi aa kar uTh kar abhi chal dega
diwana hai diwana diwane ko kya kahiye
hathon mein liye patthar phirte hain mere pichhe
apnon ki ye haalat hai begane ko kya kahiye
rona mujhe aata hai haalat pe teri 'afat'
ghar ki jo ye surat hai virane ko kya kahiye

Ghazal
Sahba-e-nazar ke is chhalkane ko kya kahiye
Lalan Chaudhary