اردو हिंदी
Sahar-o-sham mein tanzim kahan hoti hai | Shaahi Shayari
sahar-o-sham mein tanzim kahan hoti hai

Ghazal

Sahar-o-sham mein tanzim kahan hoti hai

Sarwar Arman

;

sahar-o-sham mein tanzim kahan hoti hai
KHwahish-e-subh ki tajsim kahan hoti hai

luT le jata hai bas chalta hai jis ka jitna
raushni shahr mein taqsim kahan hoti hai

un mohallon mein jahan hum ne guzari hai hayat
madrase hote hain talim kahan hoti hai

shahryaron ne ujaDa ho jise hathon se
phir se aabaad wo aqlim kahan hoti hai

tairte hain jo ghulamon ki jhuki aankhon mein
un sawalat ki tafhim kahan hoti hai

jis ka eazaz tere dar ki gadai ho use
umr-bhar KHu-e-zar-o-sim kahan hoti hai

hum gharibon ki jabin par kisi jabir ke huzur
tohmat-e-sajda-e-taslim kahan hoti hai