اردو हिंदी
Sahar-na-ashna koi nahin hai | Shaahi Shayari
sahar-na-ashna koi nahin hai

Ghazal

Sahar-na-ashna koi nahin hai

Hamidi Kashmiri

;

sahar-na-ashna koi nahin hai
magar ab jagta koi nahin hai

payami ban ke aate the parinde
magar ab rabta koi nahin hai

shikasta-pa nahin hain hum darKHto
karen kya rasta koi nahin hai

koi lauTa nahin ghar se nikal kar
magar ye sochta koi nahin hai

baha lo tum hi apne sath maujo
hamara aasra koi nahin hai

hum is ki khoj mein nikle hue hain
hamein apna pata koi nahin hai