sahar ko dhund ka KHema jala tha
hayula kohar ke andar chhupa tha
makan jismon ki KHushbu se tha KHali
magar sayon se aangan bhar gaya tha
jali hiddat se nam-alud miTTi
koi suraj zamin mein dhans gaya tha
KHamoshi ki ghuTan se chiKH uTTha
mera gumbad bhi sahra ki sada tha
ubhar aai thi dariyaon mein KHushki
magar Dhalwan par pani khaDa tha
uDa tha main hawaon ke sahaare
ruki aandhi to niche gir paDa tha
bhayanak tha mere andar ka insan
main us ko dekh kar kitna Dara tha
lahu 'siddiq' ab tak bah raha hai
kabhi ek phul mathe par laga tha

Ghazal
Sahar ko dhund ka KHema jala tha
Siddique Afghani