sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai
na jaane kis ki gali se nikal ke raat gai
junun ne daulat-e-dil ko nisar kar Dala
pukarti hi rahi aql kaenat gai
shab-e-firaq ka itna bhi gham na kar ai dil
su-e-sahar hi gai aaj tak jo raat gai
paDe hain rah mein kuchh phul KHak-aluda
koi janaza uTha ya koi baraat gai
'shamim' ahd-e-guzishta ki guftugu na karo
wo din gae wo mohabbat gai wo baat gai

Ghazal
Sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai
Shamim Karhani