sahar jitegi ya sham-e-ghariban dekhte rahna
ye sar jhukte hain ya diwar-e-zindan dekhte rahna
har ek ahl-e-lahu ne bazi-e-iman laga di hai
jo ab ki bar hoga wo charaghan dekhte rahna
idhar se muddai guzrenge iqan-e-shariat ke
nazar aa jae shayad koi insan dekhte rahna
use tum log kya samjhoge jaisa hum samajhte hain
magar phir bhi karenge us se paiman dekhte rahna
samajh mein aa gaya teri nigahon ke ulajhne par
bhari mahfil mein sab ka hum ko hairan dekhte rahna
hazaron mehrban is raste par sath aaenge
miyan ye dil hai ye jeb o gareban dekhte rahna
daba rakkho ye lahren ek din aahista aahista
yahi ban jaengi tamhid-e-tufan dekhte rahna

Ghazal
Sahar jitegi ya sham-e-ghariban dekhte rahna
Mustafa Zaidi