sahar jab bistar-e-rahat se wo rashk-e-qamar uTTha
ghulami us ki mein KHurshid le tegh-o-sipar uTTha
abhi taskin hui thi ek zara fariyaad-o-zari se
laga dil muztarib hone ki phir dard-e-jigar uTTha
gale par mere KHanjar pherta wo aur bhi lekin
hui mujh se KHata itni ki main fariyaad kar uTTha
nahin malum ai yaro 'saba' ke dil mein kya aaya
abhi jo baiThe baiThe wo yakayak aah kar uTTha
Ghazal
Sahar jab bistar-e-rahat se wo rashk-e-qamar uTTha
Lala Kanji Mil Saba