اردو हिंदी
Sahar hi aai na wo shahid-e-sahar aaya | Shaahi Shayari
sahar hi aai na wo shahid-e-sahar aaya

Ghazal

Sahar hi aai na wo shahid-e-sahar aaya

Javed Akram Farooqi

;

sahar hi aai na wo shahid-e-sahar aaya
ghubar-e-shab ka musafir hi mere ghar aaya

thakan ki dhup Dhali bhi nahin thi sar se abhi
azab-e-hukm-e-safar mujh pe phir utar aaya

diya jalate hue hath kanpte kyun hain
kahan se KHauf badan mein hawa ka dar aaya

ye lamha lamha bikharti hui ana ka wajud
na ye zamin na wo aasman nazar aaya

rida rahi na badan par koi qaba shadab
ye kaun dhup mein dekho barahna-sar aaya

badan tamam hua hai lahu-luhan mera
nai ruton ka musafir ba-chashm-e-tar aaya

bahut aziz hai apne watan ki KHak hamein
jo KHwab aankhon mein aaya wo mo'tabar aaya