sahar hum ne chaman-andar ajab dekha kal ek dilbar
sahi qamat pari-paikar muqatta-waza KHush-manzar
suKHan-bar ghuncha-lab gul-ru jabin-e-mahar aur kaman-abru
do chashm-e-shoKH pur-jadu nigah tir aur mizha nashtar
shamim-e-zulf mushk-e-afshan taghaful sau sitam-saman
ghurur aur naz-e-be-payan mizaj aur taba nazuk-tar
adaen sab fusun-ain na chhoDen dil na chhoDen din
fareb-o-ishwa sulh-agin itab-o-ghamza jang-awar
ye dekha hum ne jab aalam to rakh dil hath par hamdam
kaha hain nazr karte hum jo le lije to hai behtar
kaha le ja tu apna dil ki tu kya aur tera dil
na lewen hum to aisa dil kaha jab hum ne yun hans kar
yahi ek dil hai bechaara bhala hai ya ki nakara
agarche hai ye aawara wa lekin hai wafa-parwar
jo na-manzur karte ho to kar do ye kab uThta hai
hai jab tak dam mein dam us ke rahega ye usi dar par
'nazir' us ne suna ye jab to bola yun wo shirin-lab
hamara ho chuka ye ab bas is qisse ko kotah kar
Ghazal
Sahar humne chaman-andar ajab dekha kal ek dilbar
Nazeer Akbarabadi