اردو हिंदी
Sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main | Shaahi Shayari
sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main

Ghazal

Sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main

Nushur Wahidi

;

sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main
ki jita ja raha hun aur marta ja raha hun main

tamanna-e-muhaal-e-dil ko juzw-e-zindagi kar ke
fasana zist ka pechida karta ja raha hun main

gul-e-rangin ye kahta hai ki khilna husn khona hai
magar ghuncha samajhta hai nikharta ja raha hun main

mera dil bhi ajab ek saghar-e-zauq-e-tamanna hai
ki hai KHali ka KHali aur bharta ja raha hun main

kahan tak irtibaat-e-jaan-o-jaanan ka talluq hai
sanwarte ja rahe hain wo sanwarta ja raha hun main

jawani ja rahi hai aur main mahw-e-tamasha hun
uDi jati hai manzil aur Thaharta ja raha hun main

bahut uncha uDa lekin ab is auj-e-taKHayyul se
kisi duniya-e-rangin mein utarta ja raha hun main

'nushur' aaKHir kahan tak fikr-e-duniya dil dukhaegi
gham-e-hasti ko zauq-e-sher karta ja raha hun main