sah-pahar hi se koi shakl banati hai ye sham
KHud jo roti hai mujhe bhi to rulati hai ye sham
jo bhi diwar uThati hai giraati hai ye sham
sham ke waqt bahut dhul uDati hai ye sham
Thahri Thahri si thaki-haari musibat mein ghiri
aisa lagta hai kahin dur se aati hai ye sham
ek be-nam si uljhan ki tarah phirti hai
shahr se roz mazafat ko jati hai ye sham
ghonsle hain na gharaunde koi kuTiya na charagh
dekhiye aaj kahan KHair manati hai ye sham
dusron hi ke hawale se mila karti hai
aur dukhDa koi rozana sunati hai ye sham
is ki palkon pe sitaron ka safar raushan hai
ghup andhere mein mujhe rah dikhati hai ye sham
Ghazal
Sah-pahar hi se koi shakl banati hai ye sham
Shahid Latif