safina wo kabhi shayan-e-sahil ho nahin sakta
jo har tufan se Takrane ke qabil ho nahin sakta
guzar jae jo aadab-e-junun se teri mahfil mein
wo diwana teri mahfil ke qabil ho nahin sakta
hawadis ke thapeDon se ulajh tufan se Takra ja
ki gham jab tak na ho insan kaamil ho nahin sakta
mujhe tughyaniyon se khelna aata hai hans hans kar
mera azm-e-jawan mamnun-e-sahil ho nahin sakta
'shamim' is daur ka ye sang-dil insan are tauba
ki jis se ehtiram-e-shisha-e-dil ho nahin sakta

Ghazal
Safina wo kabhi shayan-e-sahil ho nahin sakta
Shamim Jaipuri