safina mauj-e-bala ke liye ishaara tha
na phir hawa thi muafiq na phir kinara tha
hum apne jalte hue ghar ko kaise ro lete
hamare chaaron taraf ek hi nazara tha
ye waqia jo sunenge to log hans denge
hamein hamari hi parchhaiyon ne mara tha
tilism toD diya ek sharir bachche ne
mera wajud udasi ka istiara tha
ye hausla to gulon ka tha hans paDe lekin
unhen kisi ka tabassum bhi kab gawara tha
ghurur-e-aql mein iman bhi ganwa baiThe
ye ek jazira to sab ke liye kinara tha
use bhi aaj kiya main ne aandhiyon ke supurd
bahut dinon se mere pas ek sharara tha
hum us ko kaise sunate kahaniyan 'danish'
kitab-e-dil ka har ek safha para para tha
Ghazal
Safina mauj-e-bala ke liye ishaara tha
Sarfraz Danish