اردو हिंदी
Safhe pe kab chaman ke hawa se ghubar hai | Shaahi Shayari
safhe pe kab chaman ke hawa se ghubar hai

Ghazal

Safhe pe kab chaman ke hawa se ghubar hai

Ishq Aurangabadi

;

safhe pe kab chaman ke hawa se ghubar hai
ye apne sar pe KHak uDati bahaar hai

shabnam ka kuchh nahin gul-e-nargis o pur-asar
ye dekh lo bahaar ki chashm ashk-bar hai

ye shaKH-e-gul pe ghuncha-e-gul se bahaar ka
yaro dil-e-girafta dekho aashkar hai

hota hai gul ki tarz se izhaar is tarah
ye para para daman-o-jeb-e-bahaar hai

gulshan ke bich ye gul-e-sad-barg nin hai zard
ai aashiqo bahaar ka rang-e-azar hai

gulshan ke bich kahte hain ye jis ko lala-zar
so nau-bahaar ka jigar dagh-dar hai

patthar se mar mar ke sar roti hai bahaar
jis ko chaman mein kahte hain ye aabshaar hai

ye haal-e-KHasta dekh chaman mein bahaar ka
hasrat se mere dil ke upar KHar KHar hai

gulshan ki tarah se mujh rangin-dilon ke bich
hai KHushnuma wo jeb ki jo tar tar hai

sad-chaak gul ka sun ke hua jaib-e-pairahan
yan tak to pur asar se fughan-e-hazar hai

ek bulbul-e-asir se puchha mein kis liye
aane ka fasl-e-gul ke tujhe intizar hai

kahne lagi wo uqda-e-KHatir ko khol kar
gul gul shagufta hun main sunun jo bahaar hai

aankhon se dil ke did ko mane nahin nafas
aashiq ko ain-hijr mein bhi wasl-e-yar hai

us shama-ru pe dil se tasadduq hai balki 'ishq'
parwana-war jaan se har-dam nisar hai