safed-poshi-e-dil ka bharam bhi rakhna hai
teri KHushi ke liye tera gham bhi rakhna hai
dil o nazar mein hazar iKHtilaf hon lekin
jo ishq hai to phir un ko baham bhi rakhna hai
bichhaDne milne ke mani juda juda kyun hain
har ek bar jab aankhon ko nam bhi rakhna hai
hasin hai to use apni baat rakhne ko
karam ke sath rawa kuchh sitam bhi rakhna hai
ziyaada der use dekhna bhi hai 'fazil'
aur apne aap ko thoDa sa kam bhi rakhna hai
Ghazal
Safed-poshi-e-dil ka bharam bhi rakhna hai
Fazil Jamili