safed-posh darindon ne gul khilae the
zamin surKH hui sabz karne aae the
samajh liya tha jinhen main ne raushni ka safir
wo aastin mein KHanjar chhupa ke lae the
musafiron ko ghani chhanw le ke baiTh gai
daraKHt rah ke donon taraf lagae the
mujhe bhi chaaron taraf tishnagi ne dauDaya
meri nigah pe aab-e-rawan ke sae the
mujhe ghurur hai main doston ki neki hun
unhen KHushi hai ki dariya mein Dal aae the
mere aziz the wo qabr khod ke rakh di
mujhe jo de gae miTTi wo sab parae the
hawa to apna qarina badal nahin sakti
charagh aap ne kis zoam mein jalae the
Ghazal
Safed-posh darindon ne gul khilae the
Abdur Rahim Nashtar