safar ye mera ajab imtihan chahta hai
bala ke habs mein bhi baadban chahta hai
wo mera dil nahin meri zaban chahta hai
mera udu hai mujhi se aman chahta hai
hazar us ko wahi raste bulate hain
qadam qadam wo naya aasman chahta hai
ajib baat hai mujh se mera hi aaina
meri shanaKHt ka koi nishan chahta hai
main KHush hun aaj ki meri ana ka suraj bhi
mere hi jism ka ab saeban chahta hai
main us ki baat ki tardid kar to dun lekin
magar wo shaKHs to mujh se zaban chahta hai

Ghazal
Safar ye mera ajab imtihan chahta hai
Raeesuddin Raees